Namaz Ka Tarika – Jaaniye namaz kaise padhte hai?

Namaz ka Tarika (namaz kaise padhte hai): Har momin mard aur aurat par namaz ka tarika sikhna farz hai, kyunki Islam mein 5 farz mein se ek farz namaz hai. Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshaad farmaya ki namaz meri aankhon ki thandak hai.

Duniya mein har musalman mard aur aurat par Quran mein namaz farz ki gayi hai. Jo musalman namaz nahi padhta, wo shakhs Allah ki nazar mein gunahgaar hai. Isliye sabko 5 waqt ki namaz padhni chahiye. Lekin bahut se logon ko namaz padhne ka sahi tarika nahi pata. Is article mein ham namaz padhne ka tarika jaanenge.

Namaz Kya Hai aur namaz kaise padhte hain?

Namaz shabd “Salah” ka Urdu parayaay hai aur “Salah” Arabic shabd hai, aur Quran Sharif mein baar-baar is shabd ka istemaal hua hai. Namaz har us aadmi par jisne kalma padha hai aur uski umr 7 saal se zyada hai, uspar farz hai. Agar koi musalman namaz ko duniya ke kaamon ke liye chhod deta hai to wo Allah ki nazar mein gunehgaar hai.

Namaz ki Rakat-

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

Namaz ka Time: Namaz padhne ka samay-

Sabhi musalman mard aur aurat par 5 waqt (time) ki namaz farz ki gayi hai, jo ki is tarah hai-

  1. Fajr (Subh): Ye namaz subah (morning) suraj nikalne se pehle padhi jati hai.
  2. Duhur: Ye dopahar (afternoon) ko padhi jati hai.
  3. Asr: Ye dopahar (afternoon) ke baad padhi jati hai.
  4. Maghrib: Ye shaam (evening) ko suraj ke doobne ke turant baad padhi jati hai.
  5. Isha: Ye raat (night) ko sone se pehle padhi jati hai.

In 5 namazon ke liye har desh mein apne-apne time zone hai aur usi time ke hisaab se namaz padhi jaati hai.

Namaz ka Tarika (namaz kaise padhte hai): Namaz padhne ka tarika bahut Aasan hai. Namaz 2 rak’at se shuru hoti hai, aur ye 3, ya 4 rak’at ki hoti hai. Har ek rak’at mein ek qayaam, ek ruku, aur do sajde hote hain. Namaz padhne ka sahi tarika kuch is tarah hai.

Namaz ka Tarika (namaz kaise padhte hai): Har musalman mard aur aurat ke liye namaz ka tarika sikhna zaroori hai, kyunki Islam mein 5 farz mein se ek farz namaz hai. aapko bata dun 5 waqt ki namazon mein har desh apne-apne time ke hisaab se hi namaz padhte hain yaani kisi Desh me maghrib ki namaz ka samay hai to wahaa maghrib ki namaaz padh rahe hai aur kisi desh me Isha ya zuhr isi tarah har desh apne time zone ke hisaab se hi namaz padhte hai.

Namaz padhne ka tarika behad aasan hai. Namaz ya to 2 rak’at ki hoti hai, ya 3, ya 4 rak’at ki. Ek rak’at mein ek qayaam, ek ruku, aur do sajde hote hain. Namaz padhne ka tarika kuch is tarah hai:

  1. Namaz ke liye qibla rukh hokar niyat ke saath “Allahu Akbar” (takbeer) keh kar haath naaf ke niche dono haath bandhein.
  2. Haath bandhne ke baad Sanaa padhein.  SanaaSubhanakallahumma wabihamdika watabarakasmuka wat’ala jadduka wala ilaha ghairuk”
  3. Iske baad T’awwuz padhein: “A’uzu billahi minash shaitanir rajeem. Bismillahir Rahmanir Raheem.”
  4. Fir Surah Fatiha padhein.
  5. Surah Fatiha ke baad koi ek Surah aur padhein.
  6. Iske baad “Allahu Akbar” keh kar ruku mein jaayein.
  7. Ruku mein jaane ke baad, Allah ki ye tasbeeh bayan karein: “Subhana Rabbiyal Azim”
  8. Iske baad “Sami’allahu liman hamidah” keh kar ruku se khade ho jaayein.
  9. Khade hone ke baad “Rabbana lakal hamd, dheemi aawaaz me kahen aur uske baad Allahu Akbar kahte huwe Sajde me jaayen aur allah ki ye tasbeeh padhen- “Subhana Rabbiyal Aala”
  10. Fir Allahu Akbar kahte huwe sajde se sir ko uthaayen fir dobara “Allahu Akbar” keh kar sajde mein jaayein.
  11. Sajda mein fir se Allah ki tasbeeh bayan karein.
  12. Iske baad “Allahu Akbar” keh kar sajda se uth kar baith jaayein. lekin aapko sajde se uthkar baithane ka bhi huqm rak’at ke hisaab se hi yaani aap pahli rak’at me baith nahi sakte mai aapko sidhe aakhiri raka’at ke baare me bata raha hun matlab aapko aapke hisaab se raka’at adaa karni hai aur akhiri raka’at me sajde se sir ko utha kar baithe rahna hai aur uske baad
  13. Baith kar sabse pehle “At-tahiyyatu lillahi was-salawatu wat-tayyibat” padhein.
  14. Iske baad Durood-e-Ibrahim padhein.
  15. Durood-e-Ibrahim ke baad Dua-e-Masura padhein.
  16. uske baad aap ‘Assalamu Alaikum wa Rahmatullah’ kahkar seedhe aur ulte janib salam ferein. Yahi hai Namaz Padhne ka Sahi Tarika jo niche puri jankari ke sath bataya gaya hai.

Yahi hai Namaz Padhne ka Sahi Tarika aur niche puri jankari ke sath bataya gaya hai-

Namaz ki Niyat ka Tarika- Namaz ka tarika seekhna har Musalman par farz hai. Namaz padhne ke liye niyat sabse Awwal cheez hai jo mukammal honi chahiye. Namaz mein sabse pehle niyat ki jati hai, uske baad sunnah padhi jati hai, fir Surah Fatiha koi aayat aur fir ruku mein chale jaate hain. Niyat bahut hi aasan hai kyunki yeh sabhi namazon mein ek jaisi hoti hai, kuch zyada antar nahi hota hai.

To chaliye jaante hain 5 waqt ki Namaz ki niyat-

  1. Fajr ki Namaz ki Niyat: fajr me kul 4 rak’at hai 2 raka’at sunnat aur 2 raka’at farz.
    • Fajr ki 2 rak’at sunnat
    • Niyat ki maine do rakat namaz Fajr ki sunnat Rasool-e-Pak ke wastay, Allah Ta’ala ke muh mera Kaaba Sharif ke taraf, Allah-u-Akbar.
    • Fajr ki do rak’at farz
    • Niyat ki maine do rakat namaz Fajr ki farz, Waaste Allah Ta’ala ke muh mera Kaaba Sharif ki taraf, Allah-u-Akbar.
  2. Zohar ki Namaz ki Niyat: Zohar mein kul 12 rak’at hoti hai.
    • Zohar ki char rak’at sunnat
    • Niyat ki maine char rakat namaz Zohar ki sunnat Rasool-e-Pak ke wastay, muh mera Kaaba Sharif ki taraf, Allah-u-Akbar.
    • Zohar ki 4 rak’at farz
    • Niyat ki maine char rakat namaz Zohar ki farz, Waaste Allah Ta’ala ke muh mera Kaaba Sharif ki taraf, Allah-u-Akbar.
    • Zohar ki 2 rak’at sunnat
    • Niyat ki maine 2 rakat namaz Zohar ki sunnat Rasool-e-Pak ke wastay, muh mera Kaaba Sharif ki taraf, Allah-u-Akbar.
    • Zohar ki 2 rak’at nafil
    • Niyat ki maine do rakat namaz Zohar ki nafil, Waaste Allah Ta’ala ke muh mera Kaaba Sharif ki taraf, Allah-u-Akbar.
  1. Asar ki Namaz ki Niyat: Asr me kul 8 rak’at hoti hai.
    • Asar ki char rak’at sunnat
    • Niyat ki maine char rakat namaz Asar ki sunnat Rasool-e-Pak ke wastay, muh mera Kaaba Sharif ki taraf, Allah-u-Akbar.
    • Asar ki char rak’at farz
    • Niyat ki maine char rakat namaz Asar ki farz, Allah Ta’ala ke muh mera Kaaba Sharif ki taraf, Allah-u-Akbar.
  2. Maghrib ki Namaz ki Niyat: Maghrib mein kul 7 rak’at hoti hai.
    • Maghrib ki 3 rak’at farz
    • Niyat ki maine 3 rakat namaz Maghrib ki farz, Waaste Allah Ta’ala ke muh mera Kaaba Sharif ke taraf, Allah-u-Akbar.
    • Maghrib ki 2 rak’at sunnat
    • Niyat ki maine 2 rakat namaz Maghrib ki sunnat Rasool-e-Pak ke wastay, muh mera Kaaba Sharif ke taraf, Allah-u-Akbar.
    • Maghrib ki 2 rak’at nafl
    • Niyat ki maine 2 rakat namaz Maghrib ki nafl, Waaste Allah Ta’ala ke muh mera Kaaba Sharif ke taraf, Allah-u-Akbar.
  3. Isha ki Namaz ki Niyat: Isha mein kul 17 rak’at hoti hai.
    • Isha ki 4 rak’at sunnat
    • Niyat ki maine 4 rakat namaz Isha ki sunnat Rasool-e-Pak ke farz se pehle, Waaste Allah Ta’ala ke muh mera Kaaba Sharif ke taraf, Allah-u-Akbar.
    • Isha ki 4 rak’at farz
    • Niyat ki maine 4 rakat namaz Isha ki farz, Waaste Allah Ta’ala ke muh mera Kaaba Sharif ke taraf, Allah-u-Akbar.
    • Isha ki 2 rak’at sunnat
    • Niyat ki maine 2 rakat namaz Isha ki sunnat Rasool-e-Pak ke farz ke baad, Waaste Allah Ta’ala ke muh mera Kaaba Sharif ke taraf, Allah-u-Akbar.
    • Isha ki 2 rak’at nafl
    • Niyat ki maine 2 rakat namaz Isha ki nafl, Waaste Allah Ta’ala ke muh mera Kaaba Sharif ke taraf, Allah-u-Akbar.

Yehi the 5 waqt ki Namaz ki niyat aur tafseelat. Allah humein namaz qaim karne ki taufeeq de.

Jumma ki Namaz ki niyat- Jumma ki Namaz mein 14 rak’at hoti hai.

4 rak’at sunnat, 2 rak’at farz, 4 rak’at sunnat, 2 rak’at sunnat, 2 rak’at nafil. Aam dino mein hum zuhr ke waqt 4 farz ki niyat karte hain, magar Jumme ke din 4 sunnat ki niyat karenge! 2 rak’at farz imam sahab ke peeche padhenge! Baaki namaz khud padhenge.

Jumma ki 4 rak’at sunnat, niyat ki maine 4 rak’at namaz sunnat, waaste Rasoole Pak ki, munh mera Kaaba Shareef ki taraf, Allahu Akbar.

Jumma ki 2 rak’at farz, niyat ki maine do rak’at namaz Jumma ki farz, wasste Allah taala ke munh mera Kaaba Shareef ki taraf, Allahu Akbar.

Jumma ki 4 rak’at sunnat, niyat ki maine 4 rak’at namaz sunnat waaste Rasoole Pak ki , munh mera Kaaba Shareef ki taraf, Allahu Akbar.

Jumma ki 2 rak’at sunnat, niyat ki maine 2 rak’at namaz sunnat, Rasoole Pak ke wasste, munh mera Kaaba Shareef ki taraf, Allahu Akbar.

Jumma ki 2 rak’at nafil, niyat ki maine do rak’at namaz nafil ki, wasste Allah taala ke, munh mera Kaaba Shareef ki taraf, Allahu Akbar.

Namaz mein padhi jaane waali kuch Surah.

Surah Kafirun-
“Kul ya ayyuhal kafirun
La a’budu ma ta’budun
Wa la antum ‘aabiduna ma a’bud
Wa la an ‘abidum ma ‘abattum
Wa la antum ‘aabiduna ma a’bud
Lakum deenukum waliya deen”

Surah Ikhlas-
“Qul huwallahu ahad
Allahussamad
Lam yalid walam yoolad
Walam yaqul lahu kufuwan ahad”

Surah Falaq-
“Kul a’uzu birabbil falaq
Min sharri ma khalaq
Wa min sharri ghasiqin izaa waqab
Wa min sharrin naffaasaati fil ‘uqad
Wa min sharri hasidin izaa hasad”

Surah Naas-
“Kul a’uzu bi Rabbinnas
Malikin-nas
Ilahin-nas
Min sharri al-waswasil khannas
Allazi yuwaswisu fi sudoorin-nas
Minal jinnati wannas”

Surah Fatiha-
“Alhamdulillahi rabbil ‘aalameen
Ar-Rahmaanir-Raheem
Maaliki yawmiddin
Iyyaka na’budu wa iyyaka nasta’een
Ihdinas-siraatal mustaqeem
Siraatal ladheena an’amta ‘alayhim
Ghairil maghdoobi ‘alayhim walad-dalleen (Ameen)”

Namaz ki shartein-

Namaz ki kuch shartein hain, jinka poora kiye bina namaz nahi ho sakti ya sahi nahi maani ja sakti. Kuch sharton ka namaz ke liye hona zaroori hai, to kuch sharton ka namaz ke liye poora kiya jana zaroori hai. To kuch sharton ka namaz padhte waqt hona zaroori hai, namaz ki kul shartein kuch is tarah se hain.

  1. Badan ka paak hona
    Namaz padhne ke liye badan poori tarah se paak hona zaroori hai. Badan par koi naapaki lagi nahi honi chahiye. Badan par koi gandagi lagi ho ya naapaki lagi ho to wazu ya ghusl karke namaz padhni chahiye.
  2. Kapdo ka paak hona
    Namaz padhne ke liye badan par pehna hua kapda poori tarah se paak hona zaroori hai. Kapde par koi naapaki lagi nahi honi chahiye. Kapde par koi gandagi lagi ho ya naapaki lagi ho to kapda dho lena chahiye ya doosra kapda pehan kar namaz padh leni chahiye.
  3. Namaz padhne ki jagah ka paak hona
    Namaz padhne ke liye jis jagah par namaz padhi ja rahi ho, wo jagah poori tarah se paak hona zaroori hai. Jagah par agar koi gandagi lagi ho ya naapaki lagi ho to jagah dho leni chahiye ya doosri jagah namaz padh leni chahiye jo jagah paak ho.
  4. Badan ke satar ka chhupa hua hona
    Naaf ke neeche se lekar ghutnon tak ke hisse ko mard ka satar kehlaata hai. Namaz mein mard ka yeh hissa agar dikh jaaye to namaz sahi nahi maani ja sakti.
  5. Namaz ka waqt hona
    Koi bhi namaz padhne ke liye namaz ka waqt hona zaroori hai. Waqt se pehle koi bhi namaz nahi padhi ja sakti aur waqt ke baad padhi gayi namaz qaza maani jayegi.
  6. Qibla ki taraf muh hona
    Namaz ko Qibla rukh hokar padhni chahiye. Masjid mein to is baare mein fikar karne ki koi baat nahi hoti, lekin agar kahin akele namaz padh rahe ho to Qibla ki taraf muh karna yaad rakhe.
  7. Namaz ki niyat yani iraada karna
    Namaz padhte waqt namaz padhne ka iraada karna chahiye. Namaz padhne ki jagah ka paak hona, namaz ka waqt hona, aur sab shartein dhyan mein rakhna zaroori hai. Paak hona shart hai, saaf hona shart nahi hai. Jaise badan, kapda ya zameen naapak cheezein se bhari hui na ho.

अज़ान के बाद की दुआ हिंदी में-Azan ke baad ki dua hindi

Doston ye tha namaz padhne ka tarika is post me hamne muqammal jaana ki namaz padhne ka sahi tarika kya hai agar aap ka koi sawal ho to niche comment me zarur likhe ham aapke sawal ka jawab denge Allah Ta’ala se dua hai ki agar mere likhne me kisi bhi tarah ki galti hui to allah apne shaan se mujhe maaf kare Dosto aap bhi namaz padhe kyo ki namaz hi duniya aur akhirat ki mazboot kunji hai jisse hame qamiyabi milegi aapse guzarish hai mere liye dua zarur kijega Allah Hafiz.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *